us shaks ki naadani ki hadd tu dekh0,
saqi
mujhe ch0r kr mera jesa dh0ond rha hai….
us shaks ki naadani ki hadd tu dekh0,
saqi
mujhe ch0r kr mera jesa dh0ond rha hai….
Mere Ishq Ko Nidhaal Kar
Kabhi Hij’r Ko Bhi Wisaal Kar
Meri Aankh Ko Beenaai De
Mere Kalb Ko Ujaal Kar
Mujhe Dars De Tu Fana Ka
Mera Ishq Ma Bura Haal Kar
Mujhe De Saza Koi Sakht Si
Mujhe Is Jahaan Ma Misaal Kar
Meri Asal Soorat BigaR De
Kisi Ishq Ki Bhatti Ma Daal Kar
Mujhe Bhi Pila Koi Aisi Shay
Kabhi Meri Aankhein Bhi Laal Kar
Wo Jo Us Jahaan Ma Halaal Hai
Kabhi Is Jahaan Ma Halaal Kar
Teri Talab Ma Hoon Ma Dar’ba’dar
Kabhi Is Taraf Bhi Khayaal Kar
Har Gira Huwa Phool Wafa Ka Nahi Hota,
Har Utha Huwa Hath Dua Ka Nahi Hota,
Bujh Jate Hain Diye Aksar Khud Hi WASI,,,,,
Har Baar Qasoor Hawa Ka Nahi hota.
Woh chala geya mujhe chorr ke,
Meri aadatein wohi rahin,
Usey sochna, usey chahna,
mera aaj bhi mamool hai..
Ab voh pehle si shanasai bhi nahi
tanhai to ye hai ke tanhai bhi nahi
hua hai jab se khyaale-yaar hamraah
qurb nahi haasil to judai bhi nahi
dil hai ke jaane khuda kis maqaam
qaid maen bhi nahi rihaai bhi nahi
hui is qadar viraan mehfile tanhai
ke rah gayi ab parchhayee bhi nahi
aap aur bhule mujhe ye kaise mumkin
ab tak to yaad meri aayi bhi nahi
mayoos badaa aap ki bazm se lauta
baat to baat are roonumai bhi nahi
ye kyaa abhi se tang aa gaye aap
abhi kya abhi puri sunaai bhi nahi
ab vohi kare yaad to shayad ho kuch
hai khwabo khyaali itni rasai bhi nahi
kyon na ubhrey shauqe-ghazal sarai
tabiyat ab se pehle kabhi aai bhi nahi
vaham hai yaqeen hai ya khusfahmi
ho ga mujh sa koi shedaai bhi nahi
gustakhiye-qalaam voh karenge muaf
kya unse ab itni aashnaai bhi nahi
parh kar ghazal aap ho gaye khamosh
taareef to ki nahi burrai bhi nahi